yahi ek jism-e-fani jawedani ka ahata karne wala hai kirae ka makan hi la-makani ka ahata karne wala hai thahar jao ghadi bhar dhadkanon is tez-rau ka jaeza le lun sukun andar ka bahar ki rawani ka ahata karne wala hai ise aansu samajh kar mat girao rahne do palkon pe hi goya yahi qatra tumhaari be-zabani ka ahata karne wala hai gila barson ka hai jitni safai doge utna tul pakdega ab harf-e-mazarat hi lantarani ka ahata karne wala hai in aankhon mein ghazal ka wo mukammal istiara hai ki jo 'azim' khutut-e-jism ke lafz-o-maani ka ahata karne wala hai