matlab na kabe se na irada kanisht ka paband ye faqir nahin sang-o-khisht ka sarsabz hun jo aap dikha dije khat-e-sabz kushton ko khet mein abhi aalam ho kisht ka us hur ki jo gulshan-e-ariz ki yaad thi dekha kiya firaq mein aalam bahisht ka kya munshi-e-azal ki ye sanat hai dekhna mahir nahin kisi ki koi sarnawisht ka nadan e'tiraaz hai sane pe ghaur kar beja hai imtiyaz yahan khub o zisht ka ai 'barq' sair karte hain hum to jahan ki har kucha-e-sanam hai namuna bahisht ka