yahi hai unki nazakat to haal kya hoga

yahi hai un ki nazakat to haal kya hoga
mujhe ye dar hai ki waqt-e-visal kya hoga

kisi ka sabza-e-turbat na ho saka pamal
khiram-e-naz se dil paemal kya hoga

lahad par aane laga kyun pas-e-fana koi
mite huon ka kisi ko khayal kya hoga

wo sin hi kya hai samajh ho jo aisi baaton ki
wo puchhte hain ki roz-e-visal kya hoga

na dil raha na tabiat rahi wo pahli si
kisi ki baat ka hum ko malal kya hoga

kanar-e-shauq mein kyun aaine ki khwahish hai
wo baat hi nahin chehra nidhaal kya hoga

ajal khuda ke liye rahm kar hasinon par
mila ke khak mein husn-o-jamal kya hoga

meri khushi ki unhen kis liye khushi hogi
mere malal ka un ko malal kya hoga

bataen kya tumhein kyun kar gale lagaenge
bataen kya tumhein roz-e-visal kya hoga

sharab pine ki aadat hai mujh ko chullu se
mujhe mila bhi to jam-e-sifal kya hoga

'riyaz' umr to guzri siyahkari mein
khabar nahin ki hamara maal kya hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close