sahra ke sangin safar mein aab-rasani kam na pade sari aankhen bhar kar rakhna dekho pani kam na pade zehn-e-musalsal qisse sochen honth musalsal zikr karen subh talak zinda rahna hai kahin kahani kam na pade ishq ne saunpa hai mujh ko ek sahra ki tamir ka kaam aur hidayat ki hai zarra bhar virani kam na pade meri shah-rag kati us ne aur kaha shokhi ke sath tu sachcha aashiq hai to phir dekh rawani kam na pade thoda thoda marta bhi rahta hun main jine ke sath taki waqt-e-zarurat marne ki aasani kam na pade sajda karne ko hota hun ek bahut hi bade but ka aur phir sochta hun ye chhoti si peshani kam na pade hamein chhupane ko duniya ne khol diye kapdon ke than chaak-garebani ye tera zor-e-uryani kam na pade tum 'farhat-ehsas' bas apne aap ko marne mat dena taki daftar-e-duniya mein dakhl-e-insani kam na pade