yahi likha hai ki ab main na ma-siwa mein rahun safir-e-khak ki surat kahin khala mein rahun sukut ka ye nagar bhi mujhe aziz rahe agar main ja ke kisi mahshar-e-nawa mein rahun main manzilon ke liye raste mein mar jaun magar khuda na kare shahar-e-na-rasa mein rahun main dekhta hi rahun hashr tak baqa ke khwab main hashr tak hi na kyun panja-e-fana mein rahun purane ped bhi hairat se mujh ko dekhte hain jo un se badh ke main sabit-qadam hawa mein rahun