ibtida dard hai intiha dard hai ishq ka dard to la-dawa dard hai main ne puchha wafa ka sila jo kabhi us ne hans kar ye mujh se kaha dard hai pyar se ishq tak ja-ba-ja raushni pyar se ishq tak ja-ba-ja dard hai ye naya phul hai aur ye khushbu nai ye nai sham hai aur naya dard hai zakhm kaisa hai bharta nahin hai kabhi dard hota nahin hai ye kya dard hai main to darne lagi us ki tabir se pyar aankhon mein jab se bana dard hai ek pal mein kahan kho gai hai khushi ab to ulfat ki bas ek saza dard hai chhod 'shahin' wafa ka tu ab tazkira bewafa hai khushi ba-wafa dard hai