yahi mear ab duniya mein subh-o-sham Thahra hai

yahi mear ab duniya mein subh-o-sham thahra hai
hawa ke sath chalna zindagi ka kaam thahra hai

kahan tak sath dega haq-parasti ka koi aakhir
sadaqat par hamesha jhut ka ilzam thahra hai

bataega wahi lazzat surur-o-tishna-kaami ki
lab-e-dariya pahunch kar jo bhi tishna-kaam thahra hai

sitare jhankne lagte hain palkon ke dariche se
yahi har muntaha-e-ranj ka anjam thahra hai

gae wo din ki qatil qabil-e-tazir hota tha
hamare ahd mein ab qatl par inam thahra hai

hawaon ne bujhane ki to koshish ki bahut lekin
fasil-e-shahr par raushan charagh-e-sham thahra hai

wazahat chahiye kuchh aur aain-e-siyasat mein
abhi ai mohtasib insaf main ibham thahra hai

main apni be-gunahi to abhi sabit na kar paya
sitam is par tumhaara jurm mere nam thahra hai

ana ke zoam se jab bhi nikal kar baat ki hum ne
hamara muddaa 'siddiq' phir ilham thahra hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close