yahi nahin ki bas gham-e-safar hamare sath hai mizaj-e-shabnam o dil-e-sharar hamare sath hai unhen kulah-e-khwajgi pe naz hai hua kare ye anjuman ki anjuman magar hamare sath hai shab-e-safar ka gham hi kya shab-e-safar hai mukhtasar abhi to ek dal sa rahbar hamare sath hai tumhaare damanon mein sang-ha-e-nau-ba-nau sahi khayal-e-indimal-e-zakhm-e-sar hamare sath hai wo log aur un ki wo dukan to badh gai magar sitamgaron ki taba shishagar hamare sath hai jise qadam qadam pe khud hi hajat-e-dawa na ho batao koi aisa chaara-gar hamare sath hai nahin agar tufang o tir o tesha o tabar to kya dil-e-jawan junun-e-mo'atabar hamare sath hai