kya gham ke sath hum jien aur kya khushi ke sath jo dil ko de sukun guzar ho usi ke sath kaghaz ki naw meri palat kar na aa saki bachpan mein mera dil bhi baha tha usi ke sath aankhon ke sote khushk hue raushni gai lekin nazar ka rishta wahi hai nami ke sath kya maut hi ilaj hai gham se najat ka kyon zindagi ki banne lagi khud-kushi ke sath logon ko kya padi hai jo puchhen kisi se haal har aadmi magan hai gham-e-zindagi ke sath jin ke nasib mein nahin duniya ki rahaten dekho to kaise jite hain wo har kami ke sath majburon bekason ki yahan fikr hai kise be-maut kitne marte hain faqa-kashi ke sath fursat hai kis ke pas jo soche ye baith kar kis ki bani kisi se ya bigdi kisi ke sath rishton ki bhid mein jo main sabit-qadam rahi dil ke tamam jabr sahe khush-dili ke sath laen kahan se dhund ke apna kahen jise raste take hain hum ne bhi aashuftagi ke sath 'shahnaz' apne lahje mein narmi khulus rakh kar baat har kisi se bahut aajizi ke sath