yahi nahin ki faqat pyar karne aae hain hum ek umr ka tawan bharne aae hain wo ek rang mukammal ho jis se tera wajud wo rang hum tere khake mein bharne aae hain thithur na jaen hum is ijz ki bulandi par hum apni sath se niche utarne aae hain ye bund khun ki lauh-e-kitab-e-rukh ke liye ye til sar-e-lab-o-rukhsar dharne aae hain laga rahe hain abhi kheme gham ki wadi mein hum is pahad se daman ko bharne aae hain tere labon ko mili hai shaguftagi gul ki hamari aankh ke hisse mein jharne aae hain 'nisar' band-e-qaba kholna muhaal na tha so hum jamal-e-qaba band karne aae hain