yahi nahin ki judai mein mar deta hai wo zindagi bhi mujhe be-shumar deta hai use bhi pyasa samajhte ho had nahin waise jo khali aankh mein dariya utar deta hai tum ab to waqt bhi dete ho is tarah mujh ko ki jaise koi kisi ko udhaar deta hai ye dene wale ki ginti ko masala kya hai kisi ko ek kisi ko hazar deta hai juda kare to judai mein kuchh nahin bachta qarib ho to muqaddar sanwar deta hai kisi khushi pe bhi mujh ko yaqin nahin aata ye dil khushi ko musibat qarar deta hai