yahi saza hai charaghon se aashnai ki mere khilaf hawaon ne karwai ki nahin khule hain kai din se bandh aankhon ke badan pe ek parat jam gai hai kai ki dariche khol diye raat phir se mazi ke tamam samt udasi se raushnai ki shab-e-visal khangala waraq waraq us ka badan-kitab ki tafsil se padhai ki asir-e-ishq bana hi liya mujhe us ne qubul ho hi gain arziyan rihai ki kahan talash raha hai judai ke mani mujhe nihaar main tafsir hun judai ki