yahi teri rahmat sila de rahi hai meri bebasi bhi maza de rahi hai tu purab to purba tu pachchhim to pachhua hawa bhi tera hi pata de rahi hai main din-raat tujh ko karun yaad kitna mohabbat teri ab saza de rahi hai tere qaede mein qadam kya pade bas mujhe zindagi khud nishan de rahi hai na nazdik aankhon ke kijiye shama ko nahin to kahenge dagha de rahi hai pahadon ki sazish nahin to nahin ye ghutan si ye kaisi hawa de rahi hai badi mushkilon se jo shoale bujhe hain unhen saltanat kyun hawa de rahi hai inayat bhi teri ye kya de rahi hai mujhe 'raj nit din naya de rahi hai