yahi thahra ki ab us or jaana bhi nahin hai ye duji baat wo kucha bhulana bhi nahin hai bue-e-sad-gul mein bhige ho nahae ho dhanak mein mohabbat kar rahe ho aur batana bhi nahin hai darun-e-dil hi rakkho wan hifazat mein rahega wo ek raaz-e-nahufta jo chhupana bhi nahin hai na baran hai nahin tufan na jhakkad hai na sarsar meri zambil mein ab ek bahana bhi nahin hai ilaqa sabz hai mera mohabbat ke shajar se kai sadiyon pe phaila hai purana bhi nahin hai hawa de aanch dhimi rakh sulagne de junun ko ye shoala narm rakhna hai jalana bhi nahin hai agarche dard ki tarsil ka wahid hai bais junun pesha ne tera gham ganwana bhi nahin hai ajab ek dhup-chhanw si racha rakhi hai tu ne nahin hota mera lekin bigana bhi nahin hai sameta jae sad-para jigar yaro ki hum ne tamasha-e-dil-e-khasta manana bhi nahin hai