yahi to dukh hai zamin aasman bana kar bhi main dar-ba-dar hun khud apna jahan bana kar bhi agar ye sach hai ki har shai yahan pe fani hai to kya karunga main kuchh jawedan bana kar bhi musir hai is pe mujhe raegan nahin hona wo zindagi ko mari raegan bana kar bhi kise dikhaun jo tarikiyan sameti hain qadam qadam pe nai kahkashan bana kar bhi kuchh aur log magar baad-azan use yaad aae wo khush nahin tha hamein dastan bana kar bhi khula masafat-e-hasti mein kam nahin hote safar ke ranj-o-alam karwan bana kar bhi