ye mohabbat hai ise garmi-e-bazar na kar lakh wahshat sahi aisa to mere yar na kar aaj ye soch ki kal kaise sambhaalega ise be-sabab dil mein gumanon ka ye ambar na kar zist har aan taghayyur ka nishan hai lekin yar kal tak jo rahe aaj unhen aghyar na kar in badalte hue rangon ke tamashe pe na ja ye jo duniya hai to apna ise mear na kar masala hal bhi to ho sakta hai kuchh soch ke dekh yun bigad kar meri har baat se inkar na kar main tujhe rok nahin sakta magar jate hue ye jo imkan ka dar hai ise diwar na kar dosti khatm hui saf bata de mujh ko kam se kam yun kisi dushman ki tarah war na kar