yahi to waqt hai dil lene ka lagane ka shabab phir nahin ai dost ja ke aane ka na aae is pe sitam dekhiye bahane ka ye abr-o-baad bahana hua na aane ka latif-o-narm-o-subuk hun nasim ki manind bura na mane koi mere aane jaane ka mere shabab ko ya-rab fasana hona tha kahan wo husn ki unwan ho is fasane ka maze se shaikh ji angur khae jate hain hisab hoga kisi roz dane dane ka khade hain der se masjid ke samne 'mohsin' zarur bhule hain rasta sharab-khane ka