yak-ba-yak dil se tera jalwa-numa ho jaana wo mera husn ke shoalon mein fana ho jaana dekh dil ko mere tu ne na agar dekha ho tut kar saz ka mahrum-e-sada ho jaana al-aman ki rasan-o-dar se aati hai sada koi aasan hai gunahgar-e-wafa ho jaana mujh se tark-e-gunah-e-ishq ka tu ahd na le ki main insan hun mumkin hai khata ho jaana lazzat-e-ishq ki mazbut huin buniyaaden aa gaya dard-e-mohabbat ko dawa ho jaana wo girah-bandi-e-taqdir tasawwur mein tere wo tabassum ka tere uqda-kusha ho jaana jazba-e-ishq ki ye shan-e-talawwun tauba kabhi dard aur kabhi dast-e-dua ho jaana 'arzu' ki qasam ai kucha-e-jaanan tujh ko kis se sikha tere zarron ne khuda ho jaana