yak lamha sahi umr ka arman hi rah jae is khalwat-e-yakh mein koi mehman hi rah jae qurbat mein shab-e-garm ka mausam hai tera jism ye khitta-e-jaan waqf-e-zamistan hi rah jae mujh shakh-e-barahana pe saja barf ki kaliyan patjhad pe tere husn ka ehsan hi rah jae farfag ke aashob mein jam jati hain sochen is karb-e-qayamat mein tera dhyan hi rah jae tujh bin to sunai na de suraj ki sada bhi dil dasht-e-hawa-basta hai sunsan hi rah jae marmar ki silon mein to ghute aage ka dam bhi ye qarya-e-jaanan hai yahan jaan hi rah jae sochun to shuaon se tarashun tera paikar chhu lun to wahi barf ka insan hi rah jae ye sham ye chandi ka barasta hua jharna koi teri zulfon mein pareshan hi rah jae surat se wo 'gul-barf' sahi phir bhi 'ata-shad' tasir mein wo mushk ki pahchan hi rah jae