zamin madar se apne agar nikal jae na jaane kaun sa manzar kidhar nikal jae ab aaftab sawa-neze par utarna hai girift-e-shab se zara ye sahar nikal jae samar gira ke bhi aandhi ki khu nahin badli yahi nahin ki jadon se shajar nikal jae ab itni zor se har ghar pe dastaken dena agar jawab na aae to dar nikal jae main chal pada hun to manzil bhi ab milegi 'nawed' ye rasta mujhe le kar jidhar nikal jae