yak nala-e-asihqana hai yan yak zakhma ba-sad tarana hai yan mazkur rahe hai dard-o-gham ka din raat yahi fasana hai yan phenke hai wo tir-e-ghamza mujh par samjhe hai ki dil nishana hai yan gar apni badi ke sar ko kate begana bhi pur-yagana hai yan yak jumbish-e-shauq dil ko bas hai kya hajat-e-taziyana hai yan jo aae hai jhuk ke jae hai wo goya ki sharab-khana hai yan viran hue chaman se nikle hum samajhte the aashiyana hai yan aankhen jo bhari hi aatiyan hain pani ka magar khazana hai yan diwan ki mere tu sair to kar ai 'mushafi' ek zamana hai yan bulbul hai chaman hai sarw-o-gul hai saqi hai mai-e-mughana hai yan