nikle hai jins-e-husn kisi karwan mein ye wo nahin mataa ki ho har dukan mein jata hai ek hujum-e-gham ishq-ji ke sath hangama le chale hain hum us bhi jahan mein yarab koi to wasta sar-gashtagi ka hai yak ishq bhar raha hai tamam aasman mein hum us se aah soz-e-dil apna na kah sake the aatish-e-darun se phaphole zaban mein gham khinchne ko kuchh to tawanai chahiye siwayyan na dil mein tab na taqat hai jaan mein ghafil na rahiyo hum se ki hum we nahin rahe hota hai ab to haal ajab ek aan mein we din gae ki aatish-e-gham dil mein thi nihan sozish rahe hai ab to har ek ustukhwan mein dil nazr-o-dida-pesh-kash ai bais-e-hayat sach kah ki ji lage hai tera kis makan mein khincha na kar tu tegh ki ek din nahin hain hum zalim qabahaten hain bahut imtihan mein phada hazar ja se gareban-e-sabr-e-'mir' kya kah gai nasim-e-sahar gul ke kan mein