yaksan hai dhuan jalte KHarabe ki mahak tak

yaksan hai dhuan jalte kharabe ki mahak tak
sannate ka ghar se diya sunsan sadak tak

pahle hi kaha tha mere daman se pare rah
aa hi gaya tu bhi unhin shoalon ki lapak tak

ab main hun faqat aur koi hanpta sahra
aai thi mere sath un ashkon ki kumak tak

do kashtiyan kaghaz ki baha len chalo hum tum
phir to hamein milna nahin khwabon ki palak tak

itni to saza sakht na aati hui rut de
rukhsat ho jo bite hue mausam ki kasak tak

diwar hi nikli pas-e-diwar fusun rang
kohra hi bikharta mila chehron ki dhanak tak

indar se sulagte ho musawwir jo khandar se
kho aae ho ja kar kahan aankhon ki chamak tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close