yaksan kabhi kisi ki na guzri zamane mein

yaksan kabhi kisi ki na guzri zamane mein
yaadash-ba-khair baithe the kal aashiyane mein

sadme diye to sabr ki daulat bhi dega wo
kis chiz ki kami hai sakhi ke khazane mein

ghurbat ki maut bhi sabab-e-zikr-e-khair hai
gar hum nahin to nam rahega zamane mein

dam bhar mein ab mariz ka qissa tamam hai
kyunkar kahun ye raat kategi fasane mein

saqi main dekhta hun zamin aasman ka farq
arsh-e-barin mein aur tere aastane mein

diwaren phand-phand ke diwane chal base
khak ud rahi hai chaar taraf qaid-khane mein

sayyaad is asiri pe sau jaan se main fida
dil-bastagi qafas ki kahan aashiyane mein

hum aise bad-nasib ki ab tak na mar gae
aankhon ke aage aag lagi aashiyane mein

diwane ban ke un ke gale se lipat bhi jao
kaam apna kar lo 'yas' bahane-bahane mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close