yam-ba-yam phaila hua hai pyas ka sahra yahan ek sarab-e-tishnagi hai mauja-e-sahba yahan raushni ke zawiyon par munhasir hai zindagi aap ke bas mein nahin hai aap ka saya yahan aate aate aankh tak dil ka lahu pani hua kis qadar arzan hai apne khun ka sauda yahan tere mere darmiyan hail rahi diwar-e-harf rakh liya ek baat ne har baat ka parda yahan dekhiye to ye jahan hai ek jahan-e-ab-o-gil sochiye to zarre zarre mein hai ek duniya yahan