ye baat to nahin hai ki main kam swad tha tuta hun is bina pe ki main kaj-nihad tha ilzam apni maut ka mausam pe kyun dharun mere badan mein mere lahu ka fasad tha ab main bhi jal ke rakh hun mere jahaz bhi kal mera nam tariq-e-ibn-e-ziyaad tha iman bhi laj rakh na saka mere jhut ki apne khuda pe kitna mujhe e'timad tha gahre samundaron mein bhi patthar mile mujhe tha main guhar-shanas magar sang-zad tha tu baadban darida safine ka nakhuda aur qulzum-e-sarab ka main sindbaad tha ab hun zaban burida to ye soch kar hun chup ye bhi sukhan-shanas ka andaz-dad tha