yan khak ka bistar hai gale mein kafni hai wan hath mein aaina hai gul pairahani hai hathon se hamein ishq ke din raat nahin chain fariyaad o fughan din ko hai shab nara-zani hai hushyar ho ghaflat se tu ghafil na ho ai dil apni to nazar mein ye jagah be-watani hai kuchh kah nahin sakta hun zaban se ki zara dekh kya jae hai jis jae na kuchh dam-zadani hai mizhgan pe mere lakht-e-jigar hi nahin yaro is tar se wo rishta aqiq-e-yamani hai likh aur ghazal qafiye ko pher 'zafar' tu ab taba ki dariya ki teri mauj-zani hai