kya qayamat hai ki ek shakhs ka ho bhi na sakun zindagi kaun si daulat hai ki kho bhi na sakun ghar se niklun to bhare shahr ke hangame hain main wo majbur teri yaad mein ro bhi na sakun din ke pahlu se laga rahta hai andesha-e-sham subh ke khauf se nind aae to so bhi na sakun khatm hota hi nahin silsila-e-mauj-e-sarab par utar bhi na sakun naw dubo bhi na sakun 'shaz' malum hua ijz-bayani kya hai dil mein wo aag hai lafzon mein samo bhi na sakun