yan kufr se gharaz hai na islam se gharaz bas hai agar gharaz to tere nam se gharaz aish-o-nashat-e-zist hai sab aap se husul yan shishe se gharaz hai na hai jam se gharaz tum pas ho agar to barabar hai raat din kuchh subh se gharaz na hamein sham se gharaz dil pher dijiye na bigadiye huzur aap yan bose se gharaz hai na dushnam se gharaz pad rahne bhar ko dijiye dar par hamein jagah rahat se kuchh gharaz hai na aaram se gharaz aankhen dila milin hamein rone ke waste nakaamiyon se kaam na hai kaam se gharaz 'anjum' ka sher kahne se bikna murad hai tahsin se kuchh gharaz hai na ilzam se gharaz