kisi ke sang-e-dar se apni mayyat le ke utthenge yahi patthar pae tawiz-e-turbat le ke utthenge gae wo din ki hum girte the aur himmat uthati thi wo din aaya ki ab hum apni himmat le ke utthenge agar dil hai to tera dard-e-ulfat sath jaega kaleja hai to tera dagh-e-hasrat le ke utthenge ye paida hote hi rona sarihan bad-shuguni hai musibat mein rahenge aur musibat le ke utthenge khat-e-qismat mitate ho magar itna samajh lena ye harf-e-arzu hathon ki rangat le ke utthenge mujhe apni gali mein dekh kar wo naz se bole mohabbat se dabe jate hain hasrat le ke utthenge tere kuche mein kyun baithe faqat is waste baithe ki jab utthenge is duniya se jannat le ke utthenge tera raaz-e-mohabbat le ke aae le ke jaenge amanat le ke baithe hain amanat le ke utthenge hamein is nam japne ka maza us roz aaega tumhaara nam jis din zer-e-turbat le ke utthenge dam-e-akhir hum aanchal un ka 'muztar' kis tarah chhoden yahi to hai kafan jis ki badaulat le ke utthenge