yan se paigham jo le kar gae maqul gae us ki baaton mein lage aise ki sab bhul gae tu to mashuq hai tujh ko to bahut aashiq hain gham unhon ka hai jo wo jaan se nirmul gae be-kali apni ka izhaar to karta nahin main gul-rukhan dekh ke tum mujh ko abas bhul gae kyunki khatka na rahe sab ko udhar jaane ka aah kya kya na usi khak mein maqbul gae apni neki o badi chhod gae duniya mein garche donon na rahe qatil o maqtul gae zulf mein us ki bahut rah ke na itraiyo dil mujh se kitne hi meri jaan yahan jhul gae pahli baaton ka mohabbat ki 'hasan' zikr na kar bas wo dastur gae aur wo mamul gae