un ke baghair hum jo gulistan mein aa gae mahsus ye hua ki bayaban mein aa gae tashhir-e-dil-giriftagi-e-husn ho gai aansu chhalak ke chashm-e-pasheman mein aa gae hum tark-e-rabt-o-zabt-e-mohabbat ke bawajud sau bar khinch ke kucha-e-jaanan mein aa gae phulon ko ras aaya na jab arsa-e-bahaar gulshan se hat ke gosha-e-daman mein aa gae har-chand ahl-e-hosh the arbab-e-zindagi lekin fareb-e-gardish-e-dauran mein aa gae aaya meri zaban pe yakayak jo un ka nam kis kis ke hath mere gareban mein aa gae chhup kar nigah-e-shauq se dil mein panah li dil mein na chhup sake to rag-e-jaan mein aa gae the muntashar azal mein jo zarraat-e-ku-e-dost insan ban ke aalam-e-imkan mein aa gae jinki ada ada mein hain ranaiyan 'shakil' ashaar ban ke wo mere diwan mein aa gae