yan to kuchh apni khushi se nahin hum aae hue ek zabardast ke hain khinch ke bulwae hue aate hi roe to aage ko na rowen kyun-kar hum to hain roz-e-talawwud hi ke dukh pae hue dekh kar ghair ke sath us ko kaha yun hum ne ho to tum chand par is waqt ho gahnae hue kal jo gulshan mein gae hum to ajab shakl se aah hijr ke mare hue ji se ba-tang aae hue gul jo taze the khile kahte the shabnam se ye baat dekh kar un ko jo wo phul the kumhlae hue aaj hain shakh pe jis taur se pazhmurda 'nazir' kal isi tarah se hum howenge murjhae hue