zikr mera ba-badi bhi use manzur nahin ghair ki baat bigad jae to kuchh dur nahin wada-e-sair-e-gulistan hai khusha tale-e-shauq muzhda-e-qatl muqaddar hai jo mazkur nahin shahid-e-hasti-e-mutlaq ki kamar hai aalam log kahte hain ki hai par hamein manzur nahin qatra apna bhi haqiqat mein hai dariya lekin hum ko taqlid-e-tunuk-zarfi-e-mansur nahin hasrat ai zauq-e-kharabi ki wo taqat na rahi ishq-e-pur-arbada ki gun tan-e-ranjur nahin main jo kahta hun ki hum lenge qayamat mein tumhein kis raunat se wo kahte hain ki hum hur nahin zulm kar zulm agar lutf daregh aata ho tu taghaful mein kisi rang se mazur nahin saf durdi-kash-e-paimana-e-jam hain hum log wae wo baada ki afsharda-e-angur nahin hun zuhuri ke muqabil mein khifai 'ghaalib' mere dawe pe ye hujjat hai ki mashhur nahin