yaqin-e-mohkam se kaam lena na darmiyan ehtimal rakhna

yaqin-e-mohkam se kaam lena na darmiyan ehtimal rakhna
samundaron ke safar pe jaana to hausle bhi kamal rakhna

hazar zad-e-safar se badh kar wo ek chhoti si baat thahri
ba-waqt-e-rukhsat kisi ka kahna safar mein apna khayal rakhna

tum apni khatir bacha ke rakhna masarraton ki tamam ghadiyan
jahan bhar ki udasiyon ko hamare hisse mein dal rakhna

chaman ko kis ne lahu se sincha gulon se kis ne fareb khae
sawal aae agar wafa ka to samne ye sawal rakhna

gham-e-jahan se nazar bacha ke hum aaenge haal-e-dil sunane
jo ho sake to hamari khatir zara si fursat nikal rakhna

na maslahat se khamosh rahne ke naz tum ko usul aae
ye kya ki har baat par bigadna ye kya ki ek ishtial rakhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close