yaqin hai jis pe wahi bad-guman nikalta hai meri zamin se us ka makan nikalta hai hamare shahr mein hota hai saneha lekin khata kahan ki hai ghussa kahan nikalta hai ye aur baat ki wo pak sar-zamin hai magar wahan ki khak se hindostan nikalta hai mere liye to akela khuda bahut hai magar tumhaare waste sara jahan nikalta hai siyah raat sitare bujhati rahti hai ye mera khwab-sitara kahan nikalta hai safar hai dhup samundar ka aur jazire sa kahin kahin pe koi saeban nikalta hai mana raha hai wo jashn-e-shabab maqtal mein har ek lash ka chehra jawan nikalta hai tumhaare ghar mein abhi kitni raushni hogi hamare ghar se abhi tak dhuan nikalta hai kaha kisi ne siyah-posh ho gaya 'khurshid' suna kisi ne dam-e-kahkashan nikalta hai