sadiyon se main is aankh ki putli mein chhupa tha palkon pe agar mujh ko saja lete to kya tha tu phail gaya ta-ba-abad mujh se bichhad kar main jism ke zindan mein tujhe dhund raha tha han mujh ko tere surkh kajawe ki qasam hai is rah mein pahle koi ghungru na baja tha guzre the mere samne tum dosh-e-hawa par main dur kahin ret ke tile pe khada tha sine mein ubharte hue suraj ka talatum aankhon mein teri dubti raaton ka nasha tha guzra na udhar se koi patthar ka pujari muddat se main us rah ke mathe pe saja tha jab waqt ki dahliz pe shab kanp rahi thi shoala sa mere jism ke aangan se utha tha ab jaaniye kya naqsh hawaon ne banae us ret pe main ne to tera nam likha tha ai dida-e-hairan tu zara aur qarib aa ai dhundne wale main tujhe dhund raha tha achchha hai 'rashid' aankh bhar aai hai kisi ki is khushk samundar mein to main dub chala tha