yaqin hai ki wo meri zaban samajhta hai

yaqin hai ki wo meri zaban samajhta hai
magar zaban ke ishaare kahan samajhta hai

faraaz-e-dar ko jo aasman samajhta hai
use bhi kab ye alu-e-makan samajhta hai

use pata hai ki rukti nahin hai chhanw kabhi
to phir wo abr ko kyun saeban samajhta hai

tilism-e-khwab hua pash pash kab ka magar
haqiqaton ko wo parchhaiyan samajhta hai

use ye rishta-e-ab-o-sarab la-yani
ki wo zuhur o khifa ki zaban samajhta hai

ye dil ki aag bujhi hai ki sham-e-jaan hui gul
jo 'mir' parda-e-shab ko dhuan samajhta hai

tamam lafz khade chikhte hain aur 'salim'
khamoshiyon ko wafur-e-bayan samajhta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close