guzar raha hai wo lamha to yaad aaya hai

guzar raha hai wo lamha to yaad aaya hai
us ek pal se kabhi kitna khauf khaya hai

usi nigah ne aankhon ko kar diya patthar
usi nigah mein sab kuchh nazar bhi aaya hai

ye tanz yun bhi hai ek imtihan mere liye
tere labon se koi aur muskuraya hai

bahe raqib ke aansu bhi mere galon par
ye saneha bhi mohabbat mein pesh aaya hai

ye koi aur hai teri taraf sarakta hua
andhera hote hi jo mujh mein aa samaya hai

hamare ishq se marub is qadar bhi na ho
ye khun to ek adakar ne bahaya hai

yahan to ret hai patthar hain aur kuchh bhi nahin
wo kya dikhane mujhe itni dur laya hai

bahut se bojh hain dil par ye koi aisa nahin
ye dukh kisi ne hamare liye uthaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close