yaqin ka rang bhi hai wahm ka ghubar bhi hai

yaqin ka rang bhi hai wahm ka ghubar bhi hai
fareb-e-husn-e-nazar dasht-e-eatibar bhi hai

khizan ka rang bhi hai mo'atabar chaman ke liye
ye husn-e-gul hai jo minnat-kash-e-bahaar bhi hai

asir-e-wahm-o-guman hai na jaane kab se nigah
agarche pesh-e-nazar harf-e-e'tibar bhi hai

ye main ne mana sukun maut ki alamat hai
magar sukun ke liye dil hi be-qarar bhi hai

ruki ruki si agarche hai kaenat ki nabz
bikharte tutte lamhon ka intishaar bhi hai

ajib turfa-tamasha hai is ko kya kahiye
ki dil-figar bhi 'manzar' wafa-shiar bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close