fusun-e-rang tajalli-e-khwab-zar na de nigah de bhi to minnat-kash-e-sahaar na de kuchh aur zauq-e-tajassus ko murtaish kar de sukun nazar ko na de qalb ko qarar na de tawahhumat ke sahra se phir guzar mujhe yaqin ka soz na de harf-e-e'tibar na de na de wo zor ke iman zulm par rakkhun shiar jabr ko samjhun wo ikhtiyar na de main qarz-khwar agar hun to phir taqaza na kar to sud-khwar hai to zindagi udhaar na de chhupa chhupa ke na rakh harf harf mein khud ko junun-shiar nazar-pairahan utar na de