yaqin kar le sar-e-sham koi chaara nahin bina diye ke andhere tera guzara nahin hamin hain markazi kirdar puchh lo us se abhi tak us ne kahani mein hum ko mara nahin badal to di hai har ek chiz us ne kamre ki magar hamein abhi diwar se utara nahin hamein khabar hai ki manzil to ek hai lekin jidhar zamana hai wo rasta hamara nahin juda hue hain to hum ek ho bhi sakte hain khala hai darmiyan dariyaon ka kinara nahin ye raaz khol diya kab ka dasht-o-sahra ne baghair majnun ke laila tera guzara nahin tamam ahl-e-adab ki ye rae hai 'dilbar' ghazal ke fan pe kisi ka koi ijara nahin