us pe jo mere mashware ka kuchh asar lage us be-zamir shakhs ke shanon pe sar lage maidan-e-jang mein to main sina-sipar raha phir kaise itne zakhm meri pusht par lage is se musafiron ne kiya is tarah suluk shayad ye khal-o-khad se ab apne shajar lage ehsas-e-kamtari ka kiya jae kya ilaj us shakhs ko to har ghadi khud hi se dar lage us ko agar hai mere takhatub pe ehtijaj us se kaho ki tarz-e-amal se bashar lage mujh ko zaruraton ne kahan pe khada kiya ab zindagi ka aib bhi mujh ko hunar lage teri zaban dikhati hai urdu ka moajiza 'dilbar' tawil baat teri mukhtasar lage