yaqin kaun karega guman pe aaya hun main apne aap se chhup kar yahan pe aaya hun mujhe bhi aql pareshan karti rahti hai nahin nahin se guzar kar main han pe aaya hun mujhe wo dekh ke hairan kyun nahin hoga zamin odh ke main aasman pe aaya hun ye baat tu hi bata kis tarah bataun tujhe main dil ke raste teri zaban pe aaya hun na jaane kab se nahin mil saka hun main khud se main khud se milne tere aastan pe aaya hun ye iztirab haqiqat mein iztirab nahin khushi khushi main is aah-o-fughan pe aaya hun mujhe talash na kar tu yahan wahan 'momin' nazar utha ki tere khwab-dan pe aaya hun