hun parsa tere pahlu mein shab guzar ke bhi main be-libas nahin pairahan utar ke bhi har ek sar ko bulandi ata nahin karte usul hote hain kuchh to salib-o-dar ke bhi hamare aks bhi dhundhle hue to hum samjhe ki aainon se hain rishte yahan ghubar ke bhi na aablon se hai raghbat na panw se ranjish ajab suluk hain maidan-e-kharzar ke bhi wo be-yaqin bharosa na kar saka warna the mere sath kai log e'tibar ke bhi faqat tumhin ko nahin apni sadgi pe ghurur dimagh arsh pe rahte hain khaksar ke bhi main jis ke panw ki aahat ka muntazir tha 'salim' wo ja chuka mujhe dahliz se pukar ke bhi