yaqin ki dhup mein saya bhi kuchh guman ka hai

yaqin ki dhup mein saya bhi kuchh guman ka hai
yahi to waqt musafir ke imtihan ka hai

palat raha hai zamana sada-e-haq ki taraf
jahan-e-fikr mein charcha meri azan ka hai

usi ke khauf se larzan hai dushmanon ka hujum
wo ek tir jo tuti hui kaman ka hai

yahi kahin pe wafaon ki qabr-gah bhi thi
yahi kahin se to rasta tere makan ka hai

ek ek harf ki rakhni hai aabru mujh ko
sawal dil ka nahin hai meri zaban ka hai

jo ek chhota sa dil hai 'salim' sine mein
wo aaftab mohabbat ke aasman ka hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close