yaqin ki had ko ja pahuncha jo pahle tha guman apna wahi mujrim nikal aaya jo thahra raaz-dan apna meri hasti ka ab ehsas khud mujh mein nahin baqi dar-o-diwar se main puchhta hun khud nishan apna dayar-e-ghair mein ummid wo bhi dil-nawazi ki tasalli dil ko mil jati jo hota ham-zaban apna tumhaare hijr mein jaanan ye kaisa haal hai mera na zat-e-la-makan apni na imkan-e-makan apna hai maqtal mein meri gardan pe khanjar us pari-wash ka yahi tha mashghala us ka yahi tha imtihan apna tujhe sahra-nawardi se 'qamar' kitni mohabbat hai jala dala hai khud hathon se apne aashiyan apna