wo nahin jaanta hai jab kuchh bhi us se kahna hai be-sabab kuchh bhi kaun apna hai kaun begana hum ko malum hai ye sab kuchh bhi be-gharaz ho ke sab se milte hain hum ki rakhte hain be-talab kuchh bhi jab bhi milta hai muskuraata hai khwah us ka ho ab sabab kuchh bhi hum bhi mil kar bichhad gae us se baat aisi nahin ajab kuchh bhi aadmi ka amal se rishta hai kaam aata nahin nasab kuchh bhi lakh zulmat ka bol-baala ho do-ghadi mein na hogi shab kuchh bhi aisa duniya se ji ulajhta hai nahin duniya mein jaise ab kuchh bhi log qismat pe chhod dete hain baat banti nahin hai jab kuchh bhi jo nahin chahte the hum kahna us se kahna pada wo sab kuchh bhi zehn mafluj ho gaya shayad yaad rahta nahin hai ab kuchh bhi wo kisi ka adab nahin karte jo nahin jaante adab kuchh bhi us ke dil se utar gae 'nadir' tum ko aata nahin hai dhab kuchh bhi