yaqin ki khak udate guman banate hain magar ye turfa imarat kahan banate hain laga rahe hain nae zaeqon ke zakhm abhi asas-e-fikr na tarz-e-bayan banate hain qarib-o-dur se bejod aks ashiya ke talash karte hain aur dastan banate hain ki mil sake na hamara suragh hum ko bhi bina-e-abr-o-hawa par makan banate hain purane zulm mein lazzat nahin hamare liye hum apne sar pe naya aasman banate hain nahin nasib mein marna sawad-e-sahil par jo dubne ke liye kashtiyan banate hain falak pe dhundte hain gard-e-rang-e-rafta-e-dil zamin pe sham-e-talab ka nishan banate hain wo jis ki lai pe larazta hai barg barg badan us ek rang se naqsh-e-khizan banate hain 'zafar' ye waqt hi batlaega ki aakhir hum bigadte hain zaban ya zaban banate hain