yaqin mano ye mere honT yun nile nahin hote

yaqin mano ye mere hont yun nile nahin hote
agar ye log sanpon se bhi zahrile nahin hote

agar har baat par main in ki han mein han mila deta
mere yaron ke lahje itne nokile nahin hote

koi to baat aisi hai jise hum se chhupate ho
ye palkon ke kinare be-sabab gile nahin hote

agar main haq-parasti chhod kar baatil se mil jata
mere raston mein phul hote ye pathrile nahin hote

sitaron par kamanden dalne ka kya koi soche
yahan to betiyon ke hath hi pile nahin hote

main ek pal mein banata hun anaon ke pahad 'azhar'
par agle pal ye sare ret ke tile nahin hote


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close